nadi kinare baiThe rahna achchha hai
nadī kināre baiThe rahnā achchhā hai
yā nadī ke paar utarnā achchhā hai
dastak sī ik dil ke band kivāḌoñ par
chupke chupke sunte rahnā achchhā hai
yūñhī ghar meñ chup aur gum-sum rahne se
galiyoñ galiyoñ ghūmte phirnā achchhā hai
jin logoñ kī yaad se āñkheñ bhar aa.eñ
un logoñ ko yaad na karnā achchhā hai
sāñjh hue jab āñgan jāgne lagte haiñ
dil meñ yaad ke diye jalānā achchhā hai
jī ke rog kī jab koī na baat sune
dīvāroñ se bāteñ karnā achchhā hai
jab āñkhoñ meñ dil kī udāsī rañg bhare
aap hī apnī hañsī uḌānā achchhā hai
nadi kinare baiThe rahna achchha hai
ya nadi ke par utarna achchha hai
dastak si ek dil ke band kiwaDon par
chupke chupke sunte rahna achchha hai
yunhi ghar mein chup aur gum-sum rahne se
galiyon galiyon ghumte phirna achchha hai
jin logon ki yaad se aankhen bhar aaen
un logon ko yaad na karna achchha hai
sanjh hue jab aangan jagne lagte hain
dil mein yaad ke diye jalana achchha hai
ji ke rog ki jab koi na baat sune
diwaron se baaten karna achchha hai
jab aankhon mein dil ki udasi rang bhare
aap hi apni hansi uDana achchha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.