nadi kinare jo naghma-sara malang hue
nadī kināre jo naġhma-sarā malañg hue
hubāb mauj meñ aa aa ke jal-tarañg hue
iram ke phuul azal kā nikhār tuur kī lau
saḳhī chanāb kī vaadī meñ aa ke jhang hue
kabhī jo saaz ko chheḌā bahār-mastoñ ne
to gañg gañg shajar ham-zabān-e-chañg hue
atā kiyā tire māthe ne jin ko iid kā chāñd
nisār un pe sitāroñ ke raag rañg hue
shab-e-hayāt meñ insāñ ke valvale 'afzal'
ubhar ke taare bane kahkashāñ ke sañg hue
nadi kinare jo naghma-sara malang hue
hubab mauj mein aa aa ke jal-tarang hue
iram ke phul azal ka nikhaar tur ki lau
saKHi chanab ki wadi mein aa ke jhang hue
kabhi jo saz ko chheDa bahaar-maston ne
to gang gang shajar ham-zaban-e-chang hue
ata kiya tere mathe ne jin ko id ka chand
nisar un pe sitaron ke rag rang hue
shab-e-hayat mein insan ke walwale 'afzal'
ubhar ke tare bane kahkashan ke sang hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.