nadi ko rok saki to Dhalan bandhungi
nadī ko rok sakī to Dhalān bāñdhūñgī
maiñ apnī naav pe ḳhud bādbān bāñdhūñgī
ye abr barsā to dhartī ġhurūb kar degā
maiñ apnī oḌhnī meñ āsmān bāñdhūñgī
maiñ gir ga.ī tirī dastār ko sambhālne meñ
rivāyatoñ ko maiñ shāyān-e-shān bāñdhūñgī
vo mere ghar kī har ik chiiz toḌ detā hai
maiñ dil se dard kī bojhal chaTān bāñdhūñgī
makān girne ko hai maiñ use bachā lūñgī
aur us pe guzrī huī dāstān bāñdhūñgī
chahak parinde kī kilkār nanhe bachche kī
maiñ in ke dam se nayā ik jahān bāñdhūñgī
mujhe najāt dilā de jo mere zindāñ se
na.e safar ke liye jism-o-jān bāñdhūñgī
juḌī rahūñgī usī se zamīn maañ hai mirī
maiñ titliyoñ kī sī dhīmī uḌaan bāñdhūñgī
nadi ko rok saki to Dhalan bandhungi
main apni naw pe KHud baadban bandhungi
ye abr barsa to dharti ghurub kar dega
main apni oDhni mein aasman bandhungi
main gir gai teri dastar ko sambhaalne mein
riwayaton ko main shayan-e-shan bandhungi
wo mere ghar ki har ek chiz toD deta hai
main dil se dard ki bojhal chaTan bandhungi
makan girne ko hai main use bacha lungi
aur us pe guzri hui dastan bandhungi
chahak parinde ki kilkar nanhe bachche ki
main in ke dam se naya ek jahan bandhungi
mujhe najat dila de jo mere zindan se
nae safar ke liye jism-o-jaan bandhungi
juDi rahungi usi se zamin man hai meri
main titliyon ki si dhimi uDan bandhungi
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.