nadi ne git bhi gaya nahin hai
nadī ne giit bhī gaayā nahīñ hai
qabīla lauT kar aayā nahīñ hai
azal se ye rivāyat hai hamārī
uThāyā hai sitam Dhāyā nahīñ hai
maze kī baat hai dil nā-samajh hai
aur us ko maiñ ne samjhāyā nahīñ hai
ġham-e-duniyā muāfī chāhtā huuñ
ye dil us ko bhulā paayā nahīñ hai
mujhe tum ġhaur se dekho ye maiñ huuñ
tumhāre jism kā saayā nahīñ hai
isī par mutma.in baiThe hue haiñ
ki ab insān chaupāya nahīñ hai
adū kī niiñd uḌā rakhī hai 'maz.har'
abhī tak ḳhvāb dafnāyā nahīñ hai
nadi ne git bhi gaya nahin hai
qabila lauT kar aaya nahin hai
azal se ye riwayat hai hamari
uThaya hai sitam Dhaya nahin hai
maze ki baat hai dil na-samajh hai
aur us ko main ne samjhaya nahin hai
gham-e-duniya muafi chahta hun
ye dil us ko bhula paya nahin hai
mujhe tum ghaur se dekho ye main hun
tumhaare jism ka saya nahin hai
isi par mutmain baiThe hue hain
ki ab insan chaupaya nahin hai
adu ki nind uDa rakhi hai 'mazhar'
abhi tak KHwab dafnaya nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.