nadi pahaD samundar chaTan kuchh bhi nahin
nadī pahāḌ samundar chaTān kuchh bhī nahīñ
javāñ ho azm to phir āsmān kuchh bhī nahīñ
ravish ġhalat hai to rāhoñ meñ aḌchaneñ haiñ bahut
irāde nek hoñ to imtihān kuchh bhī nahīñ
vo apnī sho.ala-bayānī se qatl kartā hai
agarche haath meñ tīr-o-kamān kuchh bhī nahīñ
haiñ mulk-o-qaum ke e.azāz sab tumhāre liye
mire buzurgoñ ke shāyān-e-shān kuchh bhī nahīñ
na ab to maañ hai na hī maañ kī yaad hai ghar meñ
sarautā lauñg Dalī pān-dān kuchh bhī nahīñ
mire liye to ye baḌh kar hai jaan se merī
tire liye to mirā ḳhāndān kuchh bhī nahīñ
ye beTiyoñ kī duāoñ kā nek-samra hai
kaTī hai umr badan meñ thakān kuchh bhī nahīñ
mirī kahāniyāñ phailī huī haiñ chāroñ taraf
mire baġhair tirī dāstān kuchh bhī nahīñ
vatan ke naam hai 'dīdār' zindagī apnī
vatan ke sāmne ye jism-o-jān kuchh bhī nahīñ
nadi pahaD samundar chaTan kuchh bhi nahin
jawan ho azm to phir aasman kuchh bhi nahin
rawish ghalat hai to rahon mein aDchanen hain bahut
irade nek hon to imtihan kuchh bhi nahin
wo apni shoala-bayani se qatl karta hai
agarche hath mein tir-o-kaman kuchh bhi nahin
hain mulk-o-qaum ke eazaz sab tumhaare liye
mere buzurgon ke shayan-e-shan kuchh bhi nahin
na ab to man hai na hi man ki yaad hai ghar mein
sarauta laung Dali pan-dan kuchh bhi nahin
mere liye to ye baDh kar hai jaan se meri
tere liye to mera KHandan kuchh bhi nahin
ye beTiyon ki duaon ka nek-samra hai
kaTi hai umr badan mein thakan kuchh bhi nahin
meri kahaniyan phaili hui hain chaaron taraf
mere baghair teri dastan kuchh bhi nahin
watan ke nam hai 'didar' zindagi apni
watan ke samne ye jism-o-jaan kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.