nadi se koi bhi pyasa na jae
nadī se koī bhī pyāsā na jaa.e
kināroñ se agar uljhā na jaa.e
ye maanā ban chukā hai pul nadī par
magar mallāh se uljhā na jaa.e
samundar kī bas itnī aarzū hai
nadī kā rāsta rokā na jaa.e
churā kar le gayā hai koī mujh ko
mire andar mujhe DhūñDhā na jaa.e
kuchh itne ġhaur se dekho na us ko
ki phir ḳhud kī taraf dekhā na jaa.e
samajh lenā tumhārā dukh baḌā hai
kisī dukh meñ agar royā na jaa.e
bigaḌ saktā hai kashtī kā tavāzun
kināre kī taraf dekhā na jaa.e
nadi se koi bhi pyasa na jae
kinaron se agar uljha na jae
ye mana ban chuka hai pul nadi par
magar mallah se uljha na jae
samundar ki bas itni aarzu hai
nadi ka rasta roka na jae
chura kar le gaya hai koi mujh ko
mere andar mujhe DhunDha na jae
kuchh itne ghaur se dekho na us ko
ki phir KHud ki taraf dekha na jae
samajh lena tumhaara dukh baDa hai
kisi dukh mein agar roya na jae
bigaD sakta hai kashti ka tawazun
kinare ki taraf dekha na jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.