nadim kahiyo agar un se koi baat chale
nadīm kahiyo agar un se koī baat chale
ham un kī bazm se mahrūm-e-iltifāt chale
ye dil uThā.egā phir ḳhūn-e-ārzū ke maze
phir aaj kar ke vo tark-e-ta'alluqāt chale
mahak mahak uThīñ tanhā.iyāñ mire ghar kī
kuchh aise silsile yādoñ ke saarī raat chale
qatīl-e-shoḳhī-e-raftār haiñ ham ahl-e-dil
hamāre saath sañbhal kar ġham-e-hayāt chale
ye jitne rind haiñ sab bhuul jaa.eñ apne ġham
jo mai-kade meñ kabhī merī un kī baat chale
rukeñ to yuuñ ki zamāne kī nabz ruk jaa.e
chaleñ to aise chaleñ saath kā.enāt chale
'bahār' aaj koī yaad aa rahā hai phir
phir aao jaam chale aur saarī raat chale
nadim kahiyo agar un se koi baat chale
hum un ki bazm se mahrum-e-iltifat chale
ye dil uThaega phir KHun-e-arzu ke maze
phir aaj kar ke wo tark-e-ta'alluqat chale
mahak mahak uThin tanhaiyan mere ghar ki
kuchh aise silsile yaadon ke sari raat chale
qatil-e-shoKHi-e-raftar hain hum ahl-e-dil
hamare sath sanbhal kar gham-e-hayat chale
ye jitne rind hain sab bhul jaen apne gham
jo mai-kade mein kabhi meri un ki baat chale
ruken to yun ki zamane ki nabz ruk jae
chalen to aise chalen sath kaenat chale
'bahaar' aaj koi yaad aa raha hai phir
phir aao jam chale aur sari raat chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.