nae andaz se didar kar lun phir chale jaana
na.e andāz se dīdār kar luuñ phir chale jaanā
maiñ apnī ruuh ko bedār kar luuñ phir chale jaanā
hazāroñ ḳhvāb dekhe the mirī ma.asūm āñkhoñ ne
maiñ un kā sarsarī iz.hār kar luuñ phir chale jaanā
havas ne aaj tak jo aish ke paikar banā.e haiñ
unheñ puurī tarah mismār kar luuñ phir chale jaanā
tumhārī diid ke jo muntazir the ek muddat se
muzayyan vo dar-o-dīvār kar luuñ phir chale jaanā
vo jin ko thaam kar tum ne mujhe jumbish atā kī thī
maiñ in hāthoñ se tum ko pyaar kar luuñ phir chale jaanā
vo jis par Thokareñ khā kar 'kañval' se milne aa.e ho
vo rasta shauq kā hamvār kar luuñ phir chale jaanā
nae andaz se didar kar lun phir chale jaana
main apni ruh ko bedar kar lun phir chale jaana
hazaron KHwab dekhe the meri masum aankhon ne
main un ka sarsari izhaar kar lun phir chale jaana
hawas ne aaj tak jo aish ke paikar banae hain
unhen puri tarah mismar kar lun phir chale jaana
tumhaari did ke jo muntazir the ek muddat se
muzayyan wo dar-o-diwar kar lun phir chale jaana
wo jin ko tham kar tum ne mujhe jumbish ata ki thi
main in hathon se tum ko pyar kar lun phir chale jaana
wo jis par Thokaren kha kar 'kanwal' se milne aae ho
wo rasta shauq ka hamwar kar lun phir chale jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.