nae baras bhi jo mela lagaya jaana hai
na.e baras bhī jo melā lagāyā jaanā hai
ga.e dinoñ ko hī is meñ bulāyā jaanā hai
purāne ghar ko nayā gar banāyā jaanā hai
zarūratan use pahle girāyā jaanā hai
mujhe pata hai ki pahle hañsāyā jaanā hai
aur us ke baad bahut hī rulāyā jaanā hai
jahāñ pe jaanā mire bas kī baat hai hī nahīñ
maiñ jāntā huuñ vahīñ par bulāyā jaanā hai
baḌe hī shauq se baiThā huā huuñ mahfil meñ
zarūr mujh ko yahāñ se uThāyā jaanā hai
bhaTak rahe haiñ jo kuchh log aate jaate hue
unheñ bhī rāsta āḳhir dikhāyā jaanā hai
adheḌ umr ke nisyāñ kā mas.ala hai yahī
vo yaad aatā hai jis ko bhulāyā jaanā hai
nae baras bhi jo mela lagaya jaana hai
gae dinon ko hi is mein bulaya jaana hai
purane ghar ko naya gar banaya jaana hai
zaruratan use pahle giraya jaana hai
mujhe pata hai ki pahle hansaya jaana hai
aur us ke baad bahut hi rulaya jaana hai
jahan pe jaana mere bas ki baat hai hi nahin
main jaanta hun wahin par bulaya jaana hai
baDe hi shauq se baiTha hua hun mahfil mein
zarur mujh ko yahan se uThaya jaana hai
bhaTak rahe hain jo kuchh log aate jate hue
unhen bhi rasta aaKHir dikhaya jaana hai
adheD umr ke nisyan ka masala hai yahi
wo yaad aata hai jis ko bhulaya jaana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.