nae charagh charaghan to KHair kya denge
na.e charāġh charāġhāñ to ḳhair kyā deñge
bahut huā to kahīñ aag hī lagā deñge
agar hai ishq to ham saath le ke jā.eñge
agar hai ḳhvāb to va.ada rahā bhulā deñge
sunā raheñ haiñ ye aḳhbār raag darbārī
hamāre qatl ko bhī hādisa batā deñge
udaas raat bhī taare sajā ke rakhtī hai
use mileñge to kuchh ham bhī muskurā deñge
abhī to dil hī jalāte haiñ yaar sab mere
phir ek din ye mirā jism bhī jalā deñge
nae charagh charaghan to KHair kya denge
bahut hua to kahin aag hi laga denge
agar hai ishq to hum sath le ke jaenge
agar hai KHwab to wada raha bhula denge
suna rahen hain ye aKHbar rag darbari
hamare qatl ko bhi hadisa bata denge
udas raat bhi tare saja ke rakhti hai
use milenge to kuchh hum bhi muskura denge
abhi to dil hi jalate hain yar sab mere
phir ek din ye mera jism bhi jala denge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.