nae dukhon nai KHushiyon ki rahguzar mein hun
na.e dukhoñ na.ī ḳhushiyoñ kī rahguzār meñ huuñ
abhī qayām kahāñ ho ki ḳhār-zār meñ huuñ
vo mujh ko jaltā huā chhoḌ de ki gul kar de
maiñ ik charāġh huuñ jhoñke ke iḳhtiyār meñ huuñ
maiñ un ke saath baḌī be-dilī se uḌtī huuñ
ki ik parinda huuñ aur dūsrī qatār meñ huuñ
vo jān-būjh ke lamhoñ ko tuul de degā
jo jāntā hai ki maiñ us ke intizār meñ huuñ
nae dukhon nai KHushiyon ki rahguzar mein hun
abhi qayam kahan ho ki KHar-zar mein hun
wo mujh ko jalta hua chhoD de ki gul kar de
main ek charagh hun jhonke ke iKHtiyar mein hun
main un ke sath baDi be-dili se uDti hun
ki ek parinda hun aur dusri qatar mein hun
wo jaan-bujh ke lamhon ko tul de dega
jo jaanta hai ki main us ke intizar mein hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.