nae KHwabon se Dar lagne laga hai
na.e ḳhvāboñ se Dar lagne lagā hai
ye rasta pur-ḳhatar lagne lagā hai
ye kaisā daur aayā be-hisī kā
mujhe zindān ghar lagne lagā hai
bichhaḌ jā.egā tū mujh se kisī din
na lagtā thā magar lagne lagā hai
zarā dekho mirī saada tabī.at
ki qātil chāragar lagne lagā hai
safar meñ ham-safar tum kyā hue ho
safar ab muḳhtasar lagne lagā hai
'ḳhalīl' us se tumheñ nafrat thī lekin
tumheñ kyuuñ mo'atabar lagne lagā hai
nae KHwabon se Dar lagne laga hai
ye rasta pur-KHatar lagne laga hai
ye kaisa daur aaya be-hisi ka
mujhe zindan ghar lagne laga hai
bichhaD jaega tu mujh se kisi din
na lagta tha magar lagne laga hai
zara dekho meri sada tabiat
ki qatil chaaragar lagne laga hai
safar mein ham-safar tum kya hue ho
safar ab muKHtasar lagne laga hai
'KHalil' us se tumhein nafrat thi lekin
tumhein kyun mo'atabar lagne laga hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.