nae manzar sarabon ke meri aankhon mein bhar dena
na.e manzar sarāboñ ke mirī āñkhoñ meñ bhar denā
agar manzil nazar aa.e mujhe gumrāh kar denā
mujhe ye kashmakash ye shor-o-ġhul sairāb karte haiñ
mirī kashtī ko dariyā aur dariyā ko bhañvar denā
mirī āvārgī hī mere hone kī 'alāmat hai
mujhe phir is safar ke baa'd bhī koī safar denā
mirī parvāz kī hasrat yaqīnan zor māregī
agar uḌne lagūñ to mere bāl-o-par katar denā
sunā hai dasht meñ aage bahut tārīk hai rasta
mire raḳht-e-safar meñ chāñd yā ḳhurshīd dhar denā
bujhā denā zarā pahle diyā merī samā'at kā
kabhī merī rihā.ī kī mujhe jab tum ḳhabar denā
judā karnā mire is ḳhvāb se tum daf.atan mujh ko
judā.ī kī mujhe ghaḌiyāñ ḳhudāyā muḳhtasar denā
nae manzar sarabon ke meri aankhon mein bhar dena
agar manzil nazar aae mujhe gumrah kar dena
mujhe ye kashmakash ye shor-o-ghul sairab karte hain
meri kashti ko dariya aur dariya ko bhanwar dena
meri aawargi hi mere hone ki 'alamat hai
mujhe phir is safar ke ba'd bhi koi safar dena
meri parwaz ki hasrat yaqinan zor maregi
agar uDne lagun to mere baal-o-par katar dena
suna hai dasht mein aage bahut tarik hai rasta
mere raKHt-e-safar mein chand ya KHurshid dhar dena
bujha dena zara pahle diya meri sama'at ka
kabhi meri rihai ki mujhe jab tum KHabar dena
juda karna mere is KHwab se tum dafatan mujh ko
judai ki mujhe ghaDiyan KHudaya muKHtasar dena
- Book : Khwab Patthar Ho Gaye (Pg. 89)
- Author : Manish Shukla
- Publication : Skylark House of Publications, 52 Shiv Vihar, Sector-1, Jankipuram, Lucknow-21 (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.