nae masiha banenge nae laqab honge
na.e masīhā baneñge na.e laqab hoñge
hamāre mulk meñ phir intiḳhāb ab hoñge
sunā hai phir se na.e ḳhvāb beche jā.eñge
sunā hai phir se na.e jumle zer-e-lab hoñge
jo pāñch saal kabhī yaad tak nahīñ aa.e
vahī ġharīb vo lāchār phir talab hoñge
lo phir se mandir-o-masjid kā jin nikal aayā
lo phir se rahnumā ab ḳhuuñ ke tishna-lab hoñge
chaman meñ bo to rahe ho tum intishār ke biij
is intishār kā lekin shikār sab hoñge
hamāre mulk kā aa.iin ham se kahtā hai
ab inqilāb faqat vote ke sabab hoñge
'shahāb' apne hī jin se na faizyāb hue
tumhāre aur mire ġham-gusār kab hoñge
nae masiha banenge nae laqab honge
hamare mulk mein phir intiKHab ab honge
suna hai phir se nae KHwab beche jaenge
suna hai phir se nae jumle zer-e-lab honge
jo panch sal kabhi yaad tak nahin aae
wahi gharib wo lachaar phir talab honge
lo phir se mandir-o-masjid ka jin nikal aaya
lo phir se rahnuma ab KHun ke tishna-lab honge
chaman mein bo to rahe ho tum intishaar ke bij
is intishaar ka lekin shikar sab honge
hamare mulk ka aain hum se kahta hai
ab inqilab faqat wote ke sabab honge
'shahab' apne hi jin se na faizyab hue
tumhaare aur mere gham-gusar kab honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.