nae mausamon main Dhal kar dekhna tha
na.e mausamoñ maiñ Dhal kar dekhnā thā
hameñ ḳhud ko badal kar dekhnā thā
balā kī ḳhūbsūrat hai ye duniyā
ise ghar se nikal kar dekhnā thā
bahut mumkin thā raste raas aate
hameñ kuchh duur chal kar dekhnā thā
ham apne-āp se uktā ga.e haiñ
hameñ ḳhud se nikal kar dekhnā thā
un āñkhoñ ko ġhalat lat lag ga.ī hai
hasīñ manzar sambhal kar dekhnā thā
butoñ par tabsira karne se pahle
tumheñ patthar meñ Dhal kar dekhnā thā
nae mausamon main Dhal kar dekhna tha
hamein KHud ko badal kar dekhna tha
bala ki KHubsurat hai ye duniya
ise ghar se nikal kar dekhna tha
bahut mumkin tha raste ras aate
hamein kuchh dur chal kar dekhna tha
hum apne-ap se ukta gae hain
hamein KHud se nikal kar dekhna tha
un aankhon ko ghalat lat lag gai hai
hasin manzar sambhal kar dekhna tha
buton par tabsira karne se pahle
tumhein patthar mein Dhal kar dekhna tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.