nae nairang dikhlata hai ye charKH-e-kuhan kya kya
nae nairang dikhlata hai ye charKH-e-kuhan kya kya
Khushi Mohammad Naazir
MORE BYKhushi Mohammad Naazir
na.e nairañg dikhlātā hai ye charḳh-e-kuhan kyā kyā
jahāñ meñ gul khilā.egī abhī ḳhāk-e-chaman kyā kyā
jahāñ kī sar-bulandī kā ma.āl-e-kār pastī hai
nashāt-o-aish-e-mun.im par hai muflis ḳhanda-zan kyā kyā
usī husn-e-azal kī lauh-e-ālam par haiñ tahrīreñ
vahī ik ishq kā mazmūñ hai andāz-e-suḳhan kyā kyā
abhī se rah-navard-e-ishq himmat haar baiThe haiñ
guzarnī haiñ abhī to ghāTiyāñ un ko kaThan kyā kyā
nae nairang dikhlata hai ye charKH-e-kuhan kya kya
jahan mein gul khilaegi abhi KHak-e-chaman kya kya
jahan ki sar-bulandi ka maal-e-kar pasti hai
nashat-o-aish-e-munim par hai muflis KHanda-zan kya kya
usi husn-e-azal ki lauh-e-alam par hain tahriren
wahi ek ishq ka mazmun hai andaz-e-suKHan kya kya
abhi se rah-naward-e-ishq himmat haar baiThe hain
guzarni hain abhi to ghaTiyan un ko kaThan kya kya
- Book : Jadeed Shora-e-Urdu (Pg. 397)
- Author : Dr. Abdul Wahid
- Publication : Feroz sons Printers Publishers and Stationers
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.