nae shahron ki jab buniyaad rakhna
na.e shahroñ kī jab buniyād rakhnā
purāne shahr bhī ābād rakhnā
paḌī ho paañv meñ zanjīr phir bhī
hamesha zehn ko āzād rakhnā
kisī kī yaad jab shiddat se aa.e
bahut mushkil hai ḳhud ko yaad rakhnā
dukhoñ ne jaḌ pakaḌ lī mere andar
zarūrī thā koī ham-zād rakhnā
ḳhudāyā shāḳh par kaliyāñ khilānā
koī paudā na be-aulād rakhnā
paḌhāo Dālne vaalo hamesha
guzishta hijratoñ ko yaad rakhnā
kahīñ bhī ghar basā lenā jahāñ meñ
magar apne vatan ko yaad rakhnā
nae shahron ki jab buniyaad rakhna
purane shahr bhi aabaad rakhna
paDi ho panw mein zanjir phir bhi
hamesha zehn ko aazad rakhna
kisi ki yaad jab shiddat se aae
bahut mushkil hai KHud ko yaad rakhna
dukhon ne jaD pakaD li mere andar
zaruri tha koi ham-zad rakhna
KHudaya shaKH par kaliyan khilana
koi pauda na be-aulad rakhna
paDhao Dalne walo hamesha
guzishta hijraton ko yaad rakhna
kahin bhi ghar basa lena jahan mein
magar apne watan ko yaad rakhna
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 424)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.