nae shishe mein ab Dhal jae har rasm-e-kuhan saqi
nae shishe mein ab Dhal jae har rasm-e-kuhan saqi
Jagjeewan Lal Asthana sahar
MORE BYJagjeewan Lal Asthana sahar
na.e shīshe meñ ab Dhal jaa.e har rasm-e-kuhan saaqī
tujhe duniyā badaltī hai mujhe ye anjuman saaqī
vahāñ kis kaam ke ye sāġhar-o-mīnā-o-paimāna
jahāñ chaltā hai terī mast āñkhoñ kā chalan saaqī
na aañkh uTThī na mai chhalkī na sāġhar daur meñ aaya
mujhe detā rahā dhoke ye terā bāñkpan saaqī
likhā hai naam merā yuuñ to har ik shāḳh par lekin
na mere phuul haiñ saaqī na merā hai chaman saaqī
haTā sāġhar na mere sāmne se is ko rahne de
ki is se jhāñktī hai mere ḳhvāboñ kī dul.han saaqī
mazā jab hai mirī mastī ko tū do-ātisha kar de
nigāhoñ se nigāhoñ kā bhī hone de milan saaqī
zarā bhīgī huī zulfoñ kī do ik buuñd Tapkā de
sulagtā hai na jaane kab se merā tan-badan saaqī
tirī zulfoñ ke saa.e meñ Dhalī rātoñ kā kyā kahnā
magar kuchh aur kahtā hai 'sahar' kā bāñkpan saaqī
nae shishe mein ab Dhal jae har rasm-e-kuhan saqi
tujhe duniya badalti hai mujhe ye anjuman saqi
wahan kis kaam ke ye saghar-o-mina-o-paimana
jahan chalta hai teri mast aankhon ka chalan saqi
na aankh uTThi na mai chhalki na saghar daur mein aaya
mujhe deta raha dhoke ye tera bankpan saqi
likha hai nam mera yun to har ek shaKH par lekin
na mere phul hain saqi na mera hai chaman saqi
haTa saghar na mere samne se is ko rahne de
ki is se jhankti hai mere KHwabon ki dulhan saqi
maza jab hai meri masti ko tu do-atisha kar de
nigahon se nigahon ka bhi hone de milan saqi
zara bhigi hui zulfon ki do ek bund Tapka de
sulagta hai na jaane kab se mera tan-badan saqi
teri zulfon ke sae mein Dhali raaton ka kya kahna
magar kuchh aur kahta hai 'sahar' ka bankpan saqi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.