nae sire se phir aaj kaifi hum apni duniya basa rahe hain
nae sire se phir aaj kaifi hum apni duniya basa rahe hain
Abdur Rasheed Khan Kaifi Mahkari
MORE BYAbdur Rasheed Khan Kaifi Mahkari
na.e sire se phir aaj 'kaifī' ham apnī duniyā basā rahe haiñ
jo kho chuke us se be-ḳhabar haiñ jo rah gayā vo luTā rahe haiñ
nashāt-e-imroz kī qasam hai ki dil ne sab mahfileñ bhulā diiñ
diye the maazī ne daaġh jitne vo ḳhud-ba-ḳhud miTte jā rahe haiñ
ḳhushā ye daur-e-shabāb un kā ye dil-navāz iltifāt un kā
ki be-piye aaj har qadam par mire qadam laḌkhaḌā rahe haiñ
udhar nazar hai idhar nazar hai kuchh apnī rusvā.iyoñ kā Dar hai
jhijak rahe haiñ ThiThak rahe haiñ magar mirī samt aa rahe haiñ
hayā ne go jur.at-e-takallum zabān se chhīn lī hai lekin
vo āñkhoñ āñkhoñ hī meñ bahut kuchh sunā chuke aur sunā rahe haiñ
shabāb hai aur shādmānī bahār hai aur kāmrānī
bane haiñ sarshārī-e-mujassam mujhe bhī vo ḳhud banā rahe haiñ
nae sire se phir aaj 'kaifi' hum apni duniya basa rahe hain
jo kho chuke us se be-KHabar hain jo rah gaya wo luTa rahe hain
nashat-e-imroz ki qasam hai ki dil ne sab mahfilen bhula din
diye the mazi ne dagh jitne wo KHud-ba-KHud miTte ja rahe hain
KHusha ye daur-e-shabab un ka ye dil-nawaz iltifat un ka
ki be-piye aaj har qadam par mere qadam laDkhaDa rahe hain
udhar nazar hai idhar nazar hai kuchh apni ruswaiyon ka Dar hai
jhijak rahe hain ThiThak rahe hain magar meri samt aa rahe hain
haya ne go jurat-e-takallum zaban se chhin li hai lekin
wo aankhon aankhon hi mein bahut kuchh suna chuke aur suna rahe hain
shabab hai aur shadmani bahaar hai aur kaamrani
bane hain sarshaari-e-mujassam mujhe bhi wo KHud bana rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.