nae tarz ka mere sath aapne chhal kiya
na.e tarz kā mire saath aap ne chhal kiyā
mire baa'd mere kahe hue pe 'amal kiyā
tire baa'd ḳhud ko sañvārne meñ lage haiñ ham
tirī yaad meñ to na rā.egāñ koī pal kiyā
ai kahīñ se Tuut ke aa.e shaḳhs ḳhudā ne hī
mirī shakl meñ tujhe pesh sabr kā phal kiyā
abhī us kī vaj.h-e-ġhazal hue haiñ 'bilāl' ham
kisī vaqt meñ jise ham ne vaj.h-e-ġhazal kiyā
nae tarz ka mere sath aap ne chhal kiya
mere ba'd mere kahe hue pe 'amal kiya
tere ba'd KHud ko sanwarne mein lage hain hum
teri yaad mein to na raegan koi pal kiya
ai kahin se Tut ke aae shaKHs KHuda ne hi
meri shakl mein tujhe pesh sabr ka phal kiya
abhi us ki wajh-e-ghazal hue hain 'bilal' hum
kisi waqt mein jise hum ne wajh-e-ghazal kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.