nae zamane ka insan kuchh ajib sa hai
na.e zamāne kā insān kuchh ajiib sā hai
na aadmī hai na haivān kuchh ajiib sā hai
kisī kī jaan kī parvā na aabrū kā ḳhayāl
hamāre ghar kā nigahbān kuchh ajiib sā hai
basī thī pyaar kī ḳhushbū yahāñ to ghar ghar meñ
rafāqatoñ kā ye fuqdān kuchh ajiib sā hai
mabādā phir koī tūfān aane vaalā ho
ye iztirāb ye haijān kuchh ajiib sā hai
hai ek haath meñ talvār ek meñ hai gulāb
ġharīb-ḳhāne kā mehmān kuchh ajiib sā hai
chhuḌā ke aa.e ho kis ḳhār-zār se dāman
ye taar taar garebān kuchh ajiib sā hai
vo sang-dil hai 'sahar' aaj mehrbān bahut
ilāhī ḳhair ye ehsān kuchh ajiib sā hai
nae zamane ka insan kuchh ajib sa hai
na aadmi hai na haiwan kuchh ajib sa hai
kisi ki jaan ki parwa na aabru ka KHayal
hamare ghar ka nigahban kuchh ajib sa hai
basi thi pyar ki KHushbu yahan to ghar ghar mein
rafaqaton ka ye fuqdan kuchh ajib sa hai
mabaada phir koi tufan aane wala ho
ye iztirab ye haijaan kuchh ajib sa hai
hai ek hath mein talwar ek mein hai gulab
gharib-KHane ka mehman kuchh ajib sa hai
chhuDa ke aae ho kis KHar-zar se daman
ye tar tar gareban kuchh ajib sa hai
wo sang-dil hai 'sahar' aaj mehrban bahut
ilahi KHair ye ehsan kuchh ajib sa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.