nafas-e-arz-o-sama ho jaise
nafas-e-arz-o-samā ho jaise
maiñ ne ik sher kahā ho jaise
jaise ik chaap koī Duub ga.ī
koī darvāza khulā ho jaise
jaise ubhrā ho koī saaya sā
āḳhirī bulb bujhā ho jaise
jaise rakh de koī āñkhoñ pe qadam
koī aahaT na sadā ho jaise
ab yahāñ koī nahīñ aa.egā
maiñ huuñ aur merā ḳhudā ho jaise
maiñ bhī chup ho gayā pā kar tujh ko
tū bhī kuchh soch rahā ho jaise
vaqt-e-girya tirī yaad aa.ī hai
saath bārish ke havā ho jaise
kaisā vīrān paḌā hai sahrā
koī majnūñ na 'sanā' ho jaise
nafas-e-arz-o-sama ho jaise
main ne ek sher kaha ho jaise
jaise ek chap koi Dub gai
koi darwaza khula ho jaise
jaise ubhra ho koi saya sa
aaKHiri bulb bujha ho jaise
jaise rakh de koi aankhon pe qadam
koi aahaT na sada ho jaise
ab yahan koi nahin aaega
main hun aur mera KHuda ho jaise
main bhi chup ho gaya pa kar tujh ko
tu bhi kuchh soch raha ho jaise
waqt-e-girya teri yaad aai hai
sath barish ke hawa ho jaise
kaisa viran paDa hai sahra
koi majnun na 'sana' ho jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.