nafas nafas iztirab sa kuchh
nafas nafas iztirāb sā kuchh
hai zindagī yā azaab sā kuchh
fareb khātī hai pyaas apnī
qadam qadam hai sarāb sā kuchh
na.ī na.ī guftugū kā nashsha
baḌī purānī sharāb sā kuchh
kisī vasīle to raat guzre
na niiñd hai aur na ḳhvāb sā kuchh
haiñ hashm-e-giryāñ ko ġham hazāroñ
chalo kareñ intiḳhāb sā kuchh
in achchhe logoñ meñ vāqa.ī kyā
kahīñ nahīñ hai ḳharāb sā kuchh
varaq varaq paḌh liyā gayā vo
thā jis kā chehra kitāb sā kuchh
ye raah pur-ḳhār kuchh nahīñ jab
chubhā ho dil meñ gulāb sā kuchh
na jaane kyoñ ḳhud aziyyatī se
mujhe nahīñ ijtināb sā kuchh
'amar' vahī shaḳhs dil kā jo hai
zarā sā achchhā ḳharāb sā kuchh
nafas nafas iztirab sa kuchh
hai zindagi ya azab sa kuchh
fareb khati hai pyas apni
qadam qadam hai sarab sa kuchh
nai nai guftugu ka nashsha
baDi purani sharab sa kuchh
kisi wasile to raat guzre
na nind hai aur na KHwab sa kuchh
hain hashm-e-giryan ko gham hazaron
chalo karen intiKHab sa kuchh
in achchhe logon mein waqai kya
kahin nahin hai KHarab sa kuchh
waraq waraq paDh liya gaya wo
tha jis ka chehra kitab sa kuchh
ye rah pur-KHar kuchh nahin jab
chubha ho dil mein gulab sa kuchh
na jaane kyon KHud aziyyati se
mujhe nahin ijtinab sa kuchh
'amar' wahi shaKHs dil ka jo hai
zara sa achchha KHarab sa kuchh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.