nafas nafas ko hawa ki rikab mein rakhna
nafas nafas ko havā kī rikāb meñ rakhnā
vajūd apnā kaf-e-āftāb meñ rakhnā
ġharīb-e-shahr tujhe tishnagī na le Duube
sambhal ke apnā qadam dasht-e-āb meñ rakhnā
ye vo gulāb haiñ jo dhuup sah nahīñ sakte
unheñ hamesha shab-e-māhtāb meñ rakhnā
ki jin kā chashm-e-nazāra tavāf karne lage
kuchh aise naqsh bhī dīvār-e-ḳhvāb meñ rakhnā
vo ḳhvāh phuul ho mahtāb ho ki sāġhar ho
koī bhī shai ho na us ke javāb meñ rakhnā
hasīn lafzoñ kī sūrat haiñ ḳhadd-o-ḳhāl us ke
'mubārak' un ko bhī apnī kitāb meñ rakhnā
nafas nafas ko hawa ki rikab mein rakhna
wajud apna kaf-e-aftab mein rakhna
gharib-e-shahr tujhe tishnagi na le Dube
sambhal ke apna qadam dasht-e-ab mein rakhna
ye wo gulab hain jo dhup sah nahin sakte
unhen hamesha shab-e-mahtab mein rakhna
ki jin ka chashm-e-nazara tawaf karne lage
kuchh aise naqsh bhi diwar-e-KHwab mein rakhna
wo KHwah phul ho mahtab ho ki saghar ho
koi bhi shai ho na us ke jawab mein rakhna
hasin lafzon ki surat hain KHadd-o-KHal us ke
'mubarak' un ko bhi apni kitab mein rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.