nafas nafas mein nihan iztirab hota hai
nafas nafas meñ nihāñ iztirāb hotā hai
balā kī chiiz ye daur-e-shabāb hotā hai
hai dafn is meñ har ik zindagī kā afsāna
har ek chehra mukammal kitāb hotā hai
kisī kī yaad meñ guzrā huā har ik lamha
bahut hasīn bahut lā-javāb hotā hai
kisī kā naam badalne se kuchh nahīñ hotā
gul-e-gulāb hamesha gulāb hotā hai
vafā meñ jaan bhī jaa.e to ġham na kar ai dil
vafā kī raah meñ miTnā savāb hotā hai
mire salām-e-mohabbat pe aap chup kyoñ haiñ
har ik savāl kā kuchh to javāb hotā hai
jinheñ nasīb huī hai 'kañval' shab-e-hijrāñ
unheñ ḳhabar hai ki kyā iztirāb hotā hai
nafas nafas mein nihan iztirab hota hai
bala ki chiz ye daur-e-shabab hota hai
hai dafn is mein har ek zindagi ka afsana
har ek chehra mukammal kitab hota hai
kisi ki yaad mein guzra hua har ek lamha
bahut hasin bahut la-jawab hota hai
kisi ka nam badalne se kuchh nahin hota
gul-e-gulab hamesha gulab hota hai
wafa mein jaan bhi jae to gham na kar ai dil
wafa ki rah mein miTna sawab hota hai
mere salam-e-mohabbat pe aap chup kyon hain
har ek sawal ka kuchh to jawab hota hai
jinhen nasib hui hai 'kanwal' shab-e-hijran
unhen KHabar hai ki kya iztirab hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.