nafas nafas mein rawan iztirab ka mausam
nafas nafas meñ ravāñ iztirāb kā mausam
kahāñ se laatā maiñ taaza gulāb kā mausam
safar meñ dhuup se jaltā rahā badan apnā
thakan se chuur rahā māhtāb kā mausam
nigāheñ DhūñDhtī rahtī haiñ manzileñ apnī
sukūt-e-shab meñ nihāñ inqalāb kā mausam
ragoñ meñ dauḌte phirte haiñ kaif ke naġhme
namāz-e-shauq meñ namnāk ḳhvāb kā mausam
farāz-e-dār pe laTkī hai zindagī 'āzād'
mirī hayāt bhī Thahrī azaab kā mausam
nafas nafas mein rawan iztirab ka mausam
kahan se lata main taza gulab ka mausam
safar mein dhup se jalta raha badan apna
thakan se chur raha mahtab ka mausam
nigahen DhunDhti rahti hain manzilen apni
sukut-e-shab mein nihan inqalab ka mausam
ragon mein dauDte phirte hain kaif ke naghme
namaz-e-shauq mein namnak KHwab ka mausam
faraaz-e-dar pe laTki hai zindagi 'azad'
meri hayat bhi Thahri azab ka mausam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.