nafas nafas mein tera ehtiram le ke chale
nafas nafas meñ tirā ehtirām le ke chale
jahāñ jahāñ bhī chale terā naam le ke chale
ruḳh-e-sabīh pe lahrā.ī haiñ siyah zulfeñ
tulū-e-sub.h meñ vo husn-e-shām le ke chale
samajhtā kaun bahāroñ ke in ishāroñ ko
vo ek ham the jo mahfil meñ jaam le ke chale
ba-nām-e-pīr-e-muġhāñ tishna-lab rahe barsoñ
ab ek daur hamārā bhī naam le ke chale
vufūr-e-shauq meñ apnā to ab ye aalam hai
ki dil meñ yaad tirī lab pe naam le ke chale
qadam qadam pe 'qamar' un kī yaad aa.ī hai
zahe nasīb ġham-e-nā-tamām le ke chale
nafas nafas mein tera ehtiram le ke chale
jahan jahan bhi chale tera nam le ke chale
ruKH-e-sabih pe lahrai hain siyah zulfen
tulu-e-subh mein wo husn-e-sham le ke chale
samajhta kaun bahaaron ke in ishaaron ko
wo ek hum the jo mahfil mein jam le ke chale
ba-nam-e-pir-e-mughan tishna-lab rahe barson
ab ek daur hamara bhi nam le ke chale
wufur-e-shauq mein apna to ab ye aalam hai
ki dil mein yaad teri lab pe nam le ke chale
qadam qadam pe 'qamar' un ki yaad aai hai
zahe nasib gham-e-na-tamam le ke chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.