Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nafas nafas ne uDain hawaiyan kya kya

Haneef akhgar

nafas nafas ne uDain hawaiyan kya kya

Haneef akhgar

MORE BYHaneef akhgar

    nafas nafas ne uḌā.īñ havā.iyāñ kyā kyā

    ba-rañg-e-ishq huiiñ jag-hañsā.iyāñ kyā kyā

    hamīñ ne ishq ko husn-e-anā rañg diyā

    hamīñ pe ishq meñ aa.iiñ burā.iyāñ kyā kyā

    mire taqaddus-e-īmāñ se kheltī rahīñ

    tirī nigāh kāfir-adā.iyāñ kyā kyā

    sukūñ-girafta na dil na aañkh ḳhūñ-basta

    tamām umr rahīñ nā-rasā.iyāñ kyā kyā

    judā.iyoñ se bhī uqde rafāqatoñ ke khule

    rafāqatoñ meñ bhī aa.iiñ judā.iyāñ kyā kyā

    hai aah ek ġhazal ashk ik qasīda hai

    nihāñ haiñ ġham meñ bhī naġhma-sarā.iyāñ kyā kyā

    rafīq mujh kahīñ pā.egī na ai 'aḳhgar'

    machāegī shab-e-hijrāñ duhā.iyāñ kyā kyā

    nafas nafas ne uDain hawaiyan kya kya

    ba-rang-e-ishq huin jag-hansaiyan kya kya

    hamin ne ishq ko husn-e-ana ka rang diya

    hamin pe ishq mein aain buraiyan kya kya

    mere taqaddus-e-iman se khelti hi rahin

    teri nigah ki kafir-adaiyan kya kya

    sukun-girafta na dil hi na aankh KHun-basta

    tamam umr rahin na-rasaiyan kya kya

    judaiyon se bhi uqde rafaqaton ke khule

    rafaqaton mein bhi aain judaiyan kya kya

    hai aah ek ghazal ashk ek qasida hai

    nihan hain gham mein bhi naghma-saraiyan kya kya

    rafiq mujh sa kahin paegi na ai 'aKHgar'

    machaegi shab-e-hijran duhaiyan kya kya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now