nafi ke jabr se aazad aur sabaat se dur
nafī ke jabr se āzād aur sabāt se duur
hai kā.enāt koī merī kā.enāt se duur
mirā vujūd mirī dāstāñ kā hissa hai
mirā nishāñ hai kahīñ par hisār-e-zāt se duur
patā chalā hai ki chashma hai āb-e-haivāñ kā
zamīñ kī had se pare arsa-e-hayāt se duur
nigār ḳhāne ke andar nigār ḳhāne haiñ
ka.ī ḳhayāl haiñ mere taḳhayyulāt se duur
ye sabz rang ye shāḳheñ to haiñ nazar kā fareb
ugā huā hai shajar Daal aur paat se duur
nafi ke jabr se aazad aur sabaat se dur
hai kaenat koi meri kaenat se dur
mera wujud meri dastan ka hissa hai
mera nishan hai kahin par hisar-e-zat se dur
pata chala hai ki chashma hai aab-e-haiwan ka
zamin ki had se pare arsa-e-hayat se dur
nigar KHane ke andar nigar KHane hain
kai KHayal hain mere taKHayyulat se dur
ye sabz rang ye shaKHen to hain nazar ka fareb
uga hua hai shajar Dal aur pat se dur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.