nafrat hai harf-e-wasl se achchha yuhin sahi
nafrat hai harf-e-vasl se achchhā yūhīñ sahī
lo aao aur baat suno vo nahīñ sahī
chhoḌūñgā maiñ na haath chale aao saath saath
nāzuk kalā.ī dukhtī hai to āstīñ sahī
mashq-e-jafā ke vāste kis kī talāsh hai
koī agar nahīñ hai to ye kam-tarīñ sahī
iqrār kar ke ghūrte ho kyoñ mirī taraf
bāvar sahī yaqīn sahī dil-nashīñ sahī
bedād kar ke chāhte ho phir jafā kī daad
behtar bajā durust sahīh āfrīñ sahī
sajde hī karte jā.eñge ham terī raah meñ
hai naqsh-e-pā se aar to naqsh-e-jabīñ sahī
be-dil-lagī bhī 'dāġh' guzarnī muhāl hai
vo dil nahīñ sahī vo tamanna nahīñ sahī
nafrat hai harf-e-wasl se achchha yuhin sahi
lo aao aur baat suno wo nahin sahi
chhoDunga main na hath chale aao sath sath
nazuk kalai dukhti hai to aastin sahi
mashq-e-jafa ke waste kis ki talash hai
koi agar nahin hai to ye kam-tarin sahi
iqrar kar ke ghurte ho kyon meri taraf
bawar sahi yaqin sahi dil-nashin sahi
bedad kar ke chahte ho phir jafa ki dad
behtar baja durust sahih aafrin sahi
sajde hi karte jaenge hum teri rah mein
hai naqsh-e-pa se aar to naqsh-e-jabin sahi
be-dil-lagi bhi 'dagh' guzarni muhaal hai
wo dil nahin sahi wo tamanna nahin sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.