nafrat hai jahan jaiye chahat nahin milti
nafrat hai jahāñ jā.iye chāhat nahīñ miltī
is daur-e-pur-āshob meñ rāhat nahīñ miltī
har lamha bapā ek qayāmat sī qayāmat
hangāma-gah-e-dahr meñ fursat nahīñ miltī
khultī na kabhī 'ālam-e-imkāñ kī haqīqat
insāñ ko agar chashm-e-basīrat nahīñ miltī
milne ko to milte haiñ har ik shaḳhs se ham bhī
ye baat alag hai ki tabī'at nahīñ miltī
nafrat hai jahan jaiye chahat nahin milti
is daur-e-pur-ashob mein rahat nahin milti
har lamha bapa ek qayamat si qayamat
hangama-gah-e-dahr mein fursat nahin milti
khulti na kabhi 'alam-e-imkan ki haqiqat
insan ko agar chashm-e-basirat nahin milti
milne ko to milte hain har ek shaKHs se hum bhi
ye baat alag hai ki tabi'at nahin milti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.