nafrat jo hai dil mein lab-e-KHandan mein nahin hai
nafrat jo hai dil meñ lab-e-ḳhandāñ meñ nahīñ hai
jo baat hai mazmūñ meñ vo unvāñ meñ nahīñ hai
kyā jāniye kal pichhle pahar kaisī havā thī
ḳhushbū kā pata aaj gulistāñ meñ nahīñ hai
ai masjid-e-aqsā tū jale aur maiñ dekhūñ
kyā azm-e-tahaffuz bhī nigahbāñ meñ nahīñ hai
matlūb hai vo jins jo nāyāb bahut hai
us chiiz kī ḳhvāhish hai jo imkāñ meñ nahīñ hai
jo soch sake mere liye merī tarah se
vo shaḳhs mire halqa-e-yārāñ meñ nahīñ hai
ai 'rashk' ho jis se dil-e-dariyā mutalātum
aisā koī andāz hī tūfāñ meñ nahīñ hai
nafrat jo hai dil mein lab-e-KHandan mein nahin hai
jo baat hai mazmun mein wo unwan mein nahin hai
kya jaaniye kal pichhle pahar kaisi hawa thi
KHushbu ka pata aaj gulistan mein nahin hai
ai masjid-e-aqsa tu jale aur main dekhun
kya azm-e-tahaffuz bhi nigahban mein nahin hai
matlub hai wo jins jo nayab bahut hai
us chiz ki KHwahish hai jo imkan mein nahin hai
jo soch sake mere liye meri tarah se
wo shaKHs mere halqa-e-yaran mein nahin hai
ai 'rashk' ho jis se dil-e-dariya mutalatum
aisa koi andaz hi tufan mein nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.