nafrat ka ye wakil nikalen kisi tarah
nafrat kā ye vakīl nikāleñ kisī tarah
ab pyaar kī appeal nikāleñ kisī tarah
aao ġhamoñ ke jism ko hī gudgudā.eñ ab
ḳhush rahne kī sabīl nikāleñ kisī tarah
kitne isī meñ duub ga.e aur mar-miTe
āñkhoñ se apnī jhiil nikāleñ kisī tarah
us ke sitam se aap pareshān haiñ to phir
kar ke use zalīl nikāleñ kisī tarah
'az.har' patang peñch ke hī anqarīb hai
charḳhī se apnī Dhiil nikāleñ kisī tarah
nafrat ka ye wakil nikalen kisi tarah
ab pyar ki appeal nikalen kisi tarah
aao ghamon ke jism ko hi gudgudaen ab
KHush rahne ki sabil nikalen kisi tarah
kitne isi mein dub gae aur mar-miTe
aankhon se apni jhil nikalen kisi tarah
us ke sitam se aap pareshan hain to phir
kar ke use zalil nikalen kisi tarah
'azhar' patang pench ke hi anqarib hai
charKHi se apni Dhil nikalen kisi tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.