nafrat ke andheron ko miTane ke liye aa
nafrat ke añdheroñ ko miTāne ke liye aa
aa sham-e-mohabbat ko jalāne ke liye aa
bebāk huā jaatā hai ab dard-e-judā.ī
ubhre hue zaḳhmoñ ko dabāne ke liye aa
kab tak maiñ sambhālūñ tirī yādoñ kī amānat
ye bār-e-garāñ dil se haTāne ke liye aa
yādoñ ke darīchoñ meñ tirā ruup hai lekin
ab hijr kā ehsās bhulāne ke liye aa
ehsās ke sahrā kī udāsī nahīñ jaatī
jharnoñ kī tarah giit sunāne ke liye aa
ik terī mohabbat kā muhāfiz hai mirā dil
ḳhud apne liye mujh ko bachāne ke liye aa
mujh ko to hai manzūr tire pyaar meñ 'arshad'
amrit na sahī zahr pilāne ke liye aa
nafrat ke andheron ko miTane ke liye aa
aa sham-e-mohabbat ko jalane ke liye aa
bebak hua jata hai ab dard-e-judai
ubhre hue zaKHmon ko dabane ke liye aa
kab tak main sambhaalun teri yaadon ki amanat
ye bar-e-garan dil se haTane ke liye aa
yaadon ke darichon mein tera rup hai lekin
ab hijr ka ehsas bhulane ke liye aa
ehsas ke sahra ki udasi nahin jati
jharnon ki tarah git sunane ke liye aa
ek teri mohabbat ka muhafiz hai mera dil
KHud apne liye mujh ko bachane ke liye aa
mujh ko to hai manzur tere pyar mein 'arshad'
amrit na sahi zahr pilane ke liye aa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.