nafraton ke andhere hain chaaron taraf sham-e-ulfat jala dun agar tum kaho
nafraton ke andhere hain chaaron taraf sham-e-ulfat jala dun agar tum kaho
Shahrukh Sahil Tulsipuri
MORE BYShahrukh Sahil Tulsipuri
nafratoñ ke añdhere haiñ chāroñ taraf sham'-e-ulfat jalā duuñ agar tum kaho
tum jo aane kā vā'da karo ai sanam dil kā kamra sajā duuñ agar tum kaho
'ishq tum se kiyā hai karūñgā sadā chāhtā hī rahūñgā tumhārī razā
tum jo chāho tumhāre ishāre pe maiñ jaañ kī baazī lagā duuñ agar tum kaho
is qadar bhī na taḌpāo ai jān-e-jāñ mausam-e-'ishq hai paas aa jaao naañ
phuul kyā hai tumhāre qadam pe sanam apne dil ko bichhā duuñ agar tum kaho
paikar-e-husn jān-e-bahārā kaho jān-e-man jān-e-jānāñ agar haañ kaho
toḌ lā.ūñ falak se sitāroñ ko aur maañg terī sajā duuñ agar tum kaho
tum agar saath do ai mirī jān-e-jāñ lā ke qadmoñ pe rakh duuñ ye saarā jahāñ
yā tumhāre liye ik alag hī kahīñ koī duniyā basā duuñ agar tum kaho
qalb-e-'sāhil' kī dhaḌkan ho tum nāznīñ ho basī fikr-e-'sāhil' meñ tum nāznīñ
mere dil meñ ho tum gar na aa.e yaqīñ chiir ke dil dikhā duuñ agar tum kaho
nafraton ke andhere hain chaaron taraf sham'-e-ulfat jala dun agar tum kaho
tum jo aane ka wa'da karo ai sanam dil ka kamra saja dun agar tum kaho
'ishq tum se kiya hai karunga sada chahta hi rahunga tumhaari raza
tum jo chaho tumhaare ishaare pe main jaan ki bazi laga dun agar tum kaho
is qadar bhi na taDpao ai jaan-e-jaan mausam-e-'ishq hai pas aa jao nan
phul kya hai tumhaare qadam pe sanam apne dil ko bichha dun agar tum kaho
paikar-e-husn jaan-e-bahaara kaho jaan-e-man jaan-e-jaanan agar han kaho
toD laun falak se sitaron ko aur mang teri saja dun agar tum kaho
tum agar sath do ai meri jaan-e-jaan la ke qadmon pe rakh dun ye sara jahan
ya tumhaare liye ek alag hi kahin koi duniya basa dun agar tum kaho
qalb-e-'sahil' ki dhaDkan ho tum naznin ho basi fikr-e-'sahil' mein tum naznin
mere dil mein ho tum gar na aae yaqin chir ke dil dikha dun agar tum kaho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.