nafraton ko miTa diya tu ne
nafratoñ ko miTā diyā tū ne
dushmanoñ ko milā diyā tū ne
chhoḌ kar rāh-e-'ishq meñ mujh ko
rog kaisā lagā diyā tū ne
maiñ to sāda-mizāj huuñ lekin
mujh ko model banā diyā tū ne
vo bhaTaktā nahīñ hai rāhoñ meñ
jis ko rasta dikhā diyā tū ne
thī zamāne se justujū jis kī
aaj us se milā diyā tū ne
us kī qismat chamak rahī hogī
jis ko apnā banā diyā tū ne
saarī bastī meñ raushnī ke liye
ghar hamārā jalā diyā tū ne
thā hasīñ ḳhvāb merī āñkhoñ meñ
be-sabab kyoñ jagā diyā tū ne
tujh ko ḳhud kī ḳhabar nahīñ hai abhī
kyoñ jahāñ ko batā diyā tū ne
jis qalandar kī thī talāsh mujhe
us se 'ahmad' milā diyā tū ne
nafraton ko miTa diya tu ne
dushmanon ko mila diya tu ne
chhoD kar rah-e-'ishq mein mujh ko
rog kaisa laga diya tu ne
main to sada-mizaj hun lekin
mujh ko model bana diya tu ne
wo bhaTakta nahin hai rahon mein
jis ko rasta dikha diya tu ne
thi zamane se justuju jis ki
aaj us se mila diya tu ne
us ki qismat chamak rahi hogi
jis ko apna bana diya tu ne
sari basti mein raushni ke liye
ghar hamara jala diya tu ne
tha hasin KHwab meri aankhon mein
be-sabab kyon jaga diya tu ne
tujh ko KHud ki KHabar nahin hai abhi
kyon jahan ko bata diya tu ne
jis qalandar ki thi talash mujhe
us se 'ahmad' mila diya tu ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.