nagar yaqin ka shahr-e-guman se aage hai
nagar yaqīn kā shahr-e-gumāñ se aage hai
jahāñ hamārā tumhāre jahāñ se aage hai
shikam meñ bhuuk paroñ meñ havā.eñ rakh taa.ir
bahut sā rizq abhī āsmāñ se aage hai
maiñ bhuul baiThā huuñ apnī talāsh meñ ye bhī
mirā vajūd mire dasht-e-jāñ se aage hai
tujhe talāsh-e-ḳhizar hai tū aa yahāñ se guzar
jahān-e-ḳhizr mire ḳhāk-dāñ se aage hai
ho jis ko dasht meñ hāsil qarābat-e-zaiġham
vahī ġhazāl hujūm-e-sagāñ se aage hai
mujhe bhī luuTā gayā hai baḌe salīqe se
mirā bhī zikr tirī dāstāñ se aage hai
zamīn pe huuñ magar huuñ falak-navard aisā
ki jis kā paañv sar-e-kahkashāñ se aage hai
isī liye to ta.āqub meñ hai charāġh-e-falak
ki merā saaya mire kārvāñ se aage hai
yahāñ jo ḳhud ko samajhtā nahīñ hadaf 'ādil'
usī kā tiir giraft-e-kamāñ se aage hai
nagar yaqin ka shahr-e-guman se aage hai
jahan hamara tumhaare jahan se aage hai
shikam mein bhuk paron mein hawaen rakh tair
bahut sa rizq abhi aasman se aage hai
main bhul baiTha hun apni talash mein ye bhi
mera wajud mere dasht-e-jaan se aage hai
tujhe talash-e-KHizar hai tu aa yahan se guzar
jahan-e-KHizr mere KHak-dan se aage hai
ho jis ko dasht mein hasil qarabat-e-zaigham
wahi ghazal hujum-e-sagan se aage hai
mujhe bhi luTa gaya hai baDe saliqe se
mera bhi zikr teri dastan se aage hai
zamin pe hun magar hun falak-naward aisa
ki jis ka panw sar-e-kahkashan se aage hai
isi liye to taaqub mein hai charagh-e-falak
ki mera saya mere karwan se aage hai
yahan jo KHud ko samajhta nahin hadaf 'adil'
usi ka tir giraft-e-kaman se aage hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.