nagin lagta hun main dil-nashin lagta hun
nagīn lagtā huuñ maiñ dil-nashīn lagtā huuñ
vo dekh le jo mujhe maiñ hasīn lagtā huuñ
ḳharīd le vo agar kuchh kahīñ bhī saste meñ
maiñ dil kī bastī meñ biktī zamīn lagtā huuñ
vo aabjū sī agar ruḳh kare mirī jānib
maiñ pāniyoñ ke jahāñ kā makīn lagtā huuñ
vo raushnī jo mujhe rok le kahīñ tanhā
maiñ raat oḌh ke chande jabīn lagtā huuñ
vo dekhte hī mirā naam bol de jo kahīñ
maiñ us ke lafz se ā'lā-tarīn lagtā huuñ
vo mornī sī mujhe jab zahīn kahtī hai
maiñ apne aap meñ ḳhud ko fatīn lagtā huuñ
nagin lagta hun main dil-nashin lagta hun
wo dekh le jo mujhe main hasin lagta hun
KHarid le wo agar kuchh kahin bhi saste mein
main dil ki basti mein bikti zamin lagta hun
wo aabju si agar ruKH kare meri jaanib
main paniyon ke jahan ka makin lagta hun
wo raushni jo mujhe rok le kahin tanha
main raat oDh ke chande jabin lagta hun
wo dekhte hi mera nam bol de jo kahin
main us ke lafz se aa'la-tarin lagta hun
wo morni si mujhe jab zahin kahti hai
main apne aap mein KHud ko fatin lagta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.