naghma-e-dil ka naya andaz hona chahiye
naġhma-e-dil kā nayā andāz honā chāhiye
saarā aalam gosh-bar-āvāz honā chāhiye
husn ko husn-e-sarāpā naaz honā chāhiye
aam jalvoñ se bahut mumtāz honā chāhiye
ek hī manzar se uktā jā.eñge ahl-e-nazar
zindagī ko inqalāb-andāz honā chāhiye
chashm-e-nazzāra-talab ye be-hisī achchhī nahīñ
imtiyāz-e-jalva-gāh-e-nāz honā chāhiye
naġhma-e-kaif-āfrīñ bhī ruuh kā paiġhām bhī
saaz meñ sab kuchh hai lekin saaz honā chāhiye
kis ko jur.at hai ki Thukrā de qafas vāloñ kī baat
haañ magar ham sab ko ik āvāz honā chāhiye
vaqt aane par qafas ko le uḌe gulshan kī samt
'bismil' aisā jazba-e-parvāz honā chāhiye
naghma-e-dil ka naya andaz hona chahiye
sara aalam gosh-bar-awaz hona chahiye
husn ko husn-e-sarapa naz hona chahiye
aam jalwon se bahut mumtaz hona chahiye
ek hi manzar se ukta jaenge ahl-e-nazar
zindagi ko inqalab-andaz hona chahiye
chashm-e-nazzara-talab ye be-hisi achchhi nahin
imtiyaz-e-jalwa-gah-e-naz hona chahiye
naghma-e-kaif-afrin bhi ruh ka paigham bhi
saz mein sab kuchh hai lekin saz hona chahiye
kis ko jurat hai ki Thukra de qafas walon ki baat
han magar hum sab ko ek aawaz hona chahiye
waqt aane par qafas ko le uDe gulshan ki samt
'bismil' aisa jazba-e-parwaz hona chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.