Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

naghma-e-ishq sunata hun main is shan ke sath

Shakeel Badayuni

naghma-e-ishq sunata hun main is shan ke sath

Shakeel Badayuni

MORE BYShakeel Badayuni

    naġhma-e-ishq sunātā huuñ maiñ is shaan ke saath

    raqs kartā hai zamāna mire vijdān ke saath

    hai mirā zauq-e-junūñ kufr-o-ḳhirad zad meñ

    ai ḳhudā ab to uThā le mujhe īmān ke saath

    dil banā dost to kyā kyā na sitam us ne kiye

    ham bhī nādāñ the nibhāte rahe nādān ke saath

    daaġh māthe pe chale shaiḳh-o-barahman le kar

    aa.e the dair-o-haram tak baḌe armān ke saath

    ġham-e-jānāñ ġham-e-hastī ġham-e-hālāt 'shakīl'

    kyā kahūñ kitnī balā.eñ haiñ mirī jaan ke saath

    naghma-e-ishq sunata hun main is shan ke sath

    raqs karta hai zamana mere wijdan ke sath

    hai mera zauq-e-junun kufr-o-KHirad ki zad mein

    ai KHuda ab to uTha le mujhe iman ke sath

    dil bana dost to kya kya na sitam us ne kiye

    hum bhi nadan the nibhate rahe nadan ke sath

    dagh mathe pe chale shaiKH-o-barahman le kar

    aae the dair-o-haram tak baDe arman ke sath

    gham-e-jaanan gham-e-hasti gham-e-haalat 'shakil'

    kya kahun kitni balaen hain meri jaan ke sath

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now