naghma-e-zist gungunae kaun
naġhma-e-zīst gungunā.e kaun
āgahī kā azaab uThā.e kaun
donoñ raazī to haiñ sulh ke liye
par anā hai ki pahle aa.e kaun
laakh dushman ne mārnā chāhā
jis ko rakkhe ḳhudā miTā.e kaun
jī meñ aatā hai us se baat kareñ
baat apnī magar banā.e kaun
us ne va.ade to be-shumār kiye
apne va.ade magar nibhā.e kaun
dil kī bastī meñ koī kyā aa.e
ye jo ujḌe to phir basā.e kaun
aañkh meñ kirchiyāñ haiñ pahle hī
ḳhvāb ab ke na.e sajā.e kaun
jo kisī kī duā meñ shāmil ho
haath us ke liye uThā.e kaun
jab ta.alluq hī tark kar baiThe
kaun rūThā kare manā.e kaun
jo hue haiñ judā irāde se
aise bichhḌoñ ko phir milā.e kaun
'tāhira' an-kahī hī rahne do
dil kī bāteñ tumhārī paa.e kaun
naghma-e-zist gungunae kaun
aagahi ka azab uThae kaun
donon raazi to hain sulh ke liye
par ana hai ki pahle aae kaun
lakh dushman ne marna chaha
jis ko rakkhe KHuda miTae kaun
ji mein aata hai us se baat karen
baat apni magar banae kaun
us ne wade to be-shumar kiye
apne wade magar nibhae kaun
dil ki basti mein koi kya aae
ye jo ujDe to phir basae kaun
aankh mein kirchiyan hain pahle hi
KHwab ab ke nae sajae kaun
jo kisi ki dua mein shamil ho
hath us ke liye uThae kaun
jab talluq hi tark kar baiThe
kaun ruTha kare manae kaun
jo hue hain juda irade se
aise bichhDon ko phir milae kaun
'tahira' an-kahi hi rahne do
dil ki baaten tumhaari pae kaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.