naghma-o-ishq se hain subha-o-zunnar mile
naġhma-o-ishq se haiñ sub.ha-o-zunnār mile
ek āvāz pe do saaz ke haiñ taar mile
maiñ to āshufta-e-dil aur dil āshufta-e-zulf
ḳhuub ham donoñ giraftār giraftār mile
maslahat hai ki tirī chashm ko hai dil se hijāb
ranj ho aur jo bīmār se bīmār mile
din tavaqqo' hī tavaqqo' meñ kahāñ tak guzreñ
mar ga.e hijr meñ bas ab to kahīñ yaar mile
apnī hī vaz' pe lāveñge ḳhudā ḳhair kare
be-tarah rahte haiñ is shoḳh se ayyār mile
dard-o-ranj-o-alam o hasrat-o-dāġh o ġham-o-rashk
mujh ko kyā kyā na tire 'ishq meñ āzār mile
kyā baḌī 'umr hai dil meñ abhī guzrā thā mire
ki mazā hove jo aise meñ vo dildār mile
baare to aan hī pahuñchā mirā jī shaad huā
maiñ ne ab jaanā ki haiñ donoñ ke asrār mile
muuñd le jab tū in āñkhoñ ko jahāñ se tū 'hasan'
dil kī āñkhoñ se tujhe yaar kā dīdār mile
naghma-o-ishq se hain subha-o-zunnar mile
ek aawaz pe do saz ke hain tar mile
main to aashufta-e-dil aur dil aashufta-e-zulf
KHub hum donon giraftar giraftar mile
maslahat hai ki teri chashm ko hai dil se hijab
ranj ho aur jo bimar se bimar mile
din tawaqqo' hi tawaqqo' mein kahan tak guzren
mar gae hijr mein bas ab to kahin yar mile
apni hi waz' pe lawenge KHuda KHair kare
be-tarah rahte hain is shoKH se ayyar mile
dard-o-ranj-o-alam o hasrat-o-dagh o gham-o-rashk
mujh ko kya kya na tere 'ishq mein aazar mile
kya baDi 'umr hai dil mein abhi guzra tha mere
ki maza howe jo aise mein wo dildar mile
bare to aan hi pahuncha mera ji shad hua
main ne ab jaana ki hain donon ke asrar mile
mund le jab tu in aankhon ko jahan se tu 'hasan'
dil ki aankhon se tujhe yar ka didar mile
- Deewan-e-Meer Hasan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.