naghma ulfat ka ga diya maine
naġhma ulfat kā gā diyā maiñ ne
ishq ko jagmagā diyā maiñ ne
yaaro apne hī ḳhuun se dekho
is nagar ko sajā diyā maiñ ne
jo the begāne ban ga.e apne
ye bhī kar ke dikhā diyā maiñ ne
ġham-kade ko sañvār kar har shaam
ik nayā gul khilā diyā maiñ ne
āshiyāñ apnā ik banāne meñ
ḳhuuñ pasīna bahā diyā maiñ ne
jin dinoñ maiñ javān thā 'sāhil'
un dinoñ ko bhulā diyā maiñ ne
naghma ulfat ka ga diya main ne
ishq ko jagmaga diya main ne
yaro apne hi KHun se dekho
is nagar ko saja diya main ne
jo the begane ban gae apne
ye bhi kar ke dikha diya main ne
gham-kade ko sanwar kar har sham
ek naya gul khila diya main ne
aashiyan apna ek banane mein
KHun pasina baha diya main ne
jin dinon main jawan tha 'sahil'
un dinon ko bhula diya main ne
- Book : Auraaq-e-Pareshan (Pg. 2)
- Author : Ashok Sawhny Sahil
- Publication : Monarch International (Group) (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.