naghma-zan andalib hota hai
naġhma-zan andalīb hotā hai
dil kā aalam ajiib hotā hai
ḳhaar gul ke qarīb hotā hai
apnā apnā nasīb hotā hai
kab kisī kā habīb hotā hai
jo bhī dil kā ġharīb hotā hai
bevafā bad-nasīb hotā hai
aap apnā raqīb hotā hai
ġhaflat-o-be-hisī ke aalam meñ
'nāz' dil hī naqīb hotā hai
naghma-zan andalib hota hai
dil ka aalam ajib hota hai
KHar gul ke qarib hota hai
apna apna nasib hota hai
kab kisi ka habib hota hai
jo bhi dil ka gharib hota hai
bewafa bad-nasib hota hai
aap apna raqib hota hai
ghaflat-o-be-hisi ke aalam mein
'naz' dil hi naqib hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.