naghme birha ke chhalkae pyasi chhagal gori ki
naġhme birhā ke chhalkā.e pyāsī chhāgal gorī kī
chhan-chhan chhan-chhan TuuTī jaa.e aas kī paa.el gorī kī
aag lagī hai bekal man meñ rim-jhim rim-jhim sāvan se
bhīgī palkeñ phailā kājal ruuh hai ghāyal gorī kī
man ke suune jangal meñ lī armānoñ ne añgḌā.ī
yādoñ kī barkhā se ho ga.ī nagrī jal-thal gorī kī
koī chitā sī sulag rahī hai māyūsī ke kohre meñ
piiḌā ke chandan meñ lipTī jaan hai bekal gorī kī
har ik paudā suukh gayā hai dil kī ujḌī bagiyā meñ
pattā pattā DhūñD rahā hai chhāyā nirmal gorī kī
sapnoñ kī jaltī raakh uThā.e yaas ke ghor añdhiyāre meñ
kis kā rasta dekh rahī haiñ āñkheñ jal-thal gorī kī
pyaar kā muhlik ruup lagā kar rotī hai ḳhuun ab ai 'parkāsh'
ġham ke kāñToñ meñ uljhī hai kaayā komal gorī kī
naghme birha ke chhalkae pyasi chhagal gori ki
chhan-chhan chhan-chhan TuTi jae aas ki pael gori ki
aag lagi hai bekal man mein rim-jhim rim-jhim sawan se
bhigi palken phaila kajal ruh hai ghayal gori ki
man ke sune jangal mein li armanon ne angDai
yaadon ki barkha se ho gai nagri jal-thal gori ki
koi chita si sulag rahi hai mayusi ke kohre mein
piDa ke chandan mein lipTi jaan hai bekal gori ki
har ek pauda sukh gaya hai dil ki ujDi bagiya mein
patta patta DhunD raha hai chhaya nirmal gori ki
sapnon ki jalti rakh uThae yas ke ghor andhiyare mein
kis ka rasta dekh rahi hain aankhen jal-thal gori ki
pyar ka muhlik rup laga kar roti hai KHun ab ai 'parkash'
gham ke kanTon mein uljhi hai kaya komal gori ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.