naghme hawa ne chheDe fitrat ki bansuri mein
naġhme havā ne chheḌe fitrat kī bāñsurī meñ
paidā huiiñ zabāneñ jañgal kī ḳhāmushī meñ
us vaqt kī udāsī hai dekhne ke qābil
jab koī ro rahā ho afsurda chāñdnī meñ
kuchh to latīf hotīñ ghaḌiyāñ musībaton kī
tum ek din to milte do din kī zindagī meñ
hañgāma-e-tabassum hai merī har ḳhamoshī
tum muskurā rahe ho dil kī shaguftagī meñ
ḳhālī paḌe hue haiñ phūloñ ke sab sahīfe
rāz-e-chaman nihāñ hai kaliyoñ kī ḳhāmushī meñ
naghme hawa ne chheDe fitrat ki bansuri mein
paida huin zabanen jangal ki KHamushi mein
us waqt ki udasi hai dekhne ke qabil
jab koi ro raha ho afsurda chandni mein
kuchh to latif hotin ghaDiyan musibaton ki
tum ek din to milte do din ki zindagi mein
hangama-e-tabassum hai meri har KHamoshi
tum muskura rahe ho dil ki shaguftagi mein
KHali paDe hue hain phulon ke sab sahife
raaz-e-chaman nihan hai kaliyon ki KHamushi mein
- Book : Range-e-Gazal (Pg. 541)
- Author : shahzaad ahmad
- Publication : Ali Printers, 19-A Abate Road, Lahore (1988)
- Edition : 1988
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.