naghme KHwabida hain nalon ka asar tak chup hai
naġhme ḳhvābīda haiñ nāloñ kā asar tak chup hai
aap kyā chup haiñ fazā hadd-e-nazar tak chup hai
shaam tak mai-kadā gulzār-e-sahar tak chup hai
zindagī vaqt kī tajdīd-e-safar tak chup hai
saath the aap to manzil bhī sadā detī thī
ab ye aalam hai ki har rāhguzar tak chup hai
kis ko āvāz deñ is bolte sannāTe meñ
jis taraf dekhiye dīvār se dar tak chup hai
aañkh darkār hai jazboñ ko samajhne ke liye
chehra kyā kah sake jab dīda-e-tar tak chup hai
be-shu.ūroñ ne uThā rakkhī hai duniyā sar par
hosh-mandoñ kī zabāñ kyā hai nazar tak chup hai
kis se pūchhūñ ki nasheman mirā kis ne phūñkā
bū-e-gul bād-e-sabā shāḳh-e-shajar tak chup hai
dil hai ḳhāmosh to ḳhāmosh hai duniyā saarī
ek aalam hai idhar se jo udhar tak chup hai
'shauq' zindān-e-jahāñ manzil-e-fariyād nahīñ
is ḳharābe meñ to sāñsoñ kā safar tak chup hai
naghme KHwabida hain nalon ka asar tak chup hai
aap kya chup hain faza hadd-e-nazar tak chup hai
sham tak mai-kada gulzar-e-sahar tak chup hai
zindagi waqt ki tajdid-e-safar tak chup hai
sath the aap to manzil bhi sada deti thi
ab ye aalam hai ki har rahguzar tak chup hai
kis ko aawaz den is bolte sannaTe mein
jis taraf dekhiye diwar se dar tak chup hai
aankh darkar hai jazbon ko samajhne ke liye
chehra kya kah sake jab dida-e-tar tak chup hai
be-shuuron ne uTha rakkhi hai duniya sar par
hosh-mandon ki zaban kya hai nazar tak chup hai
kis se puchhun ki nasheman mera kis ne phunka
bu-e-gul baad-e-saba shaKH-e-shajar tak chup hai
dil hai KHamosh to KHamosh hai duniya sari
ek aalam hai idhar se jo udhar tak chup hai
'shauq' zindan-e-jahan manzil-e-fariyaad nahin
is KHarabe mein to sanson ka safar tak chup hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.