nagri nagri ghum ke dekha hum ko lage anjaane log
nagrī nagrī ghuum ke dekhā ham ko lage anjāne log
apnī apnī sab ko paḌī hai dard se haiñ begāne log
kaise kaise gul haiñ khilā.e ahl-e-ḳhirad kī hikmat ne
kaun sunegā baat hamārī ham Thahre dīvāne log
aag lagānā khel thā jin kā dard ke lāla-zāroñ meñ
sho.ala-e-sozāñ se larzāñ haiñ aaj vahī farzāne log
kis kī tamanna kaun se armāñ kis kā tasavvur kaun se ḳhvāb
paas thā jo bhī kho kar lauTe nikle the kuchh paane log
maare maare phirte rahe ham haal na pūchhā ek ne bhī
ḳhvāb haiñ sab ke bikhre bikhre bhuul chuke afsāne log
nagri nagri ghum ke dekha hum ko lage anjaane log
apni apni sab ko paDi hai dard se hain begane log
kaise kaise gul hain khilae ahl-e-KHirad ki hikmat ne
kaun sunega baat hamari hum Thahre diwane log
aag lagana khel tha jin ka dard ke lala-zaron mein
shoala-e-sozan se larzan hain aaj wahi farzane log
kis ki tamanna kaun se arman kis ka tasawwur kaun se KHwab
pas tha jo bhi kho kar lauTe nikle the kuchh pane log
mare mare phirte rahe hum haal na puchha ek ne bhi
KHwab hain sab ke bikhre bikhre bhul chuke afsane log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.