nagri nagri ghum rahe hain ulfat ke diwane chand
nagrī nagrī ghuum rahe haiñ ulfat ke dīvāne chand
paañv shikasta tan zaḳhmī haiñ hāthoñ meñ paimāne chand
jiitī dhuup sisaktī aaheñ jehd-e-musalsal zaḳhm-e-dil
haa.e re us mazdūr kī hālat jis kī qismat daane chand
aisā kaal na dekhā ham ne vaise dekhe kaal bahut
maiḳhāne meñ sab hī pyāse lekin haiñ paimāne chand
ham se ruuTh ke jaane vaale apnā tasavvur rahne de
ham ne bune haiñ jīvan bhar meñ ḳhvāb ke tāne-bāne chand
haañ ai chāragaro merī barbādī kā sāmān karo
ḳhūn-e-tamannā kī surḳhī se saj jaa.eñ kāshāne chand
ġham kī tapish ne bahte aañsū ḳhushk kiye haiñ ai 'anjum'
girya-e-shabnam gulshan gulshan phir bhī bhareñ paimāne chand
nagri nagri ghum rahe hain ulfat ke diwane chand
panw shikasta tan zaKHmi hain hathon mein paimane chand
jiti dhup sisakti aahen jehd-e-musalsal zaKHm-e-dil
hae re us mazdur ki haalat jis ki qismat dane chand
aisa kal na dekha hum ne waise dekhe kal bahut
maiKHane mein sab hi pyase lekin hain paimane chand
hum se ruTh ke jaane wale apna tasawwur rahne de
hum ne bune hain jiwan bhar mein KHwab ke tane-bane chand
han ai chaaragaro meri barbaadi ka saman karo
KHun-e-tamanna ki surKHi se saj jaen kashane chand
gham ki tapish ne bahte aansu KHushk kiye hain ai 'anjum'
girya-e-shabnam gulshan gulshan phir bhi bharen paimane chand
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.