nahif-o-zar-e-sada thak ke baiTh jati hai
nahīf-o-zār-e-sadā thak ke baiTh jaatī hai
sar-e-zabāñ hī du'ā thak ke baiTh jaatī hai
bahut kaThin hai azīzo hamārī ham-safarī
hamāre saath havā thak ke baiTh jaatī hai
na itnā raḳht-e-safar deñ samundaroñ se kaho
miyān-e-rāh ghaTā thak ke baiTh jaatī hai
har ek baar ubhartā hai āftāb-e-vafā
har ek baar jafā thak ke baiTh jaatī hai
yahīñ kahīñ pe ghane zindagī ke saa.e haiñ
yahīñ kahīñ pe qazā thak ke baiTh jaatī hai
vahāñ se hotā hai jaarī ḳhamoshiyoñ kā safar
jahāñ pahuñch ke sadā thak ke baiTh jaatī hai
guloñ se kah do abhī vaqt hai abhī hañs leñ
sahar ke baa'd sabā thak ke baiTh jaatī hai
bahut hī tez hai 'kāzim' hayāt kī raftār
ye aur baat zarā thak ke baiTh jaatī hai
nahif-o-zar-e-sada thak ke baiTh jati hai
sar-e-zaban hi du'a thak ke baiTh jati hai
bahut kaThin hai azizo hamari ham-safari
hamare sath hawa thak ke baiTh jati hai
na itna raKHt-e-safar den samundaron se kaho
miyan-e-rah ghaTa thak ke baiTh jati hai
har ek bar ubharta hai aaftab-e-wafa
har ek bar jafa thak ke baiTh jati hai
yahin kahin pe ghane zindagi ke sae hain
yahin kahin pe qaza thak ke baiTh jati hai
wahan se hota hai jari KHamoshiyon ka safar
jahan pahunch ke sada thak ke baiTh jati hai
gulon se kah do abhi waqt hai abhi hans len
sahar ke ba'd saba thak ke baiTh jati hai
bahut hi tez hai 'kazim' hayat ki raftar
ye aur baat zara thak ke baiTh jati hai
- Book : کتاب سنگ (Pg. 13)
- Author : کاظم جرولی
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.